सदस्य:SIRAT E MUSTAQEM

मुक्त ज्ञानकोश विकिपीडिया से

Ye Youm e Ghadeer-e-Khum ka Faiz hai

Ye Youm e Ghadeer-e-Khum ka Faiz hai Kuch log samjhtey hain ke "Man Kuntu Maula Fa Aliyyum Maula" se ummat ko kuch lena dena nahi, ye Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ki Fazilat me ek Hadees hai bus aur kuch nahi. Aisa samjhne waale parley darje ke jahil hain aur aiso ko chahiye ke apne aapko musalman kehna chod den. Kyu? Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Aamad Aamad se pehle, puri duniya me insaniyat ko hidayat dene keliye ek ke baad ek Ambiya Alaihi-Mussalam aate they. Jab Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam tashreef laaye to Aap Khatamul Mursaleen they yaani Aakhri Nabi! Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Qayamat tak aur hamesha keliye sabke Nabi, Aapke baad koi naya Nabi nahi aayega. To yw ummat to hazaro, laakho, shayad karodo saal bhi baaki rahegi, to daur badalte jayenge naye naye fitne aayenge, to ummat ko rehnumayi ki zarurat hogi. Magar koi Nabi to ab nahi aayega isliye Allah Ta'ala ne is ummat pe Wilayat ka Darwaza khola. Aur Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apne Wisaal Mubarak se 3 Mahine pehle Hazaron Sahaba ke Majme me Sayyeduna Maula Ali ul Murtaza KarramAllahu Wajhahul Kareem ka Haath Buland karke farmaya: "Jiska Mai Maula aur Wali Hun, Ali bhi uska Maula aur Wali hai!"

Yaani Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sayyeduna Ali RadiAllahu Anhu ko "Fatehe Wilayat" yaani Wilayat ka Kholne wala banaya aur Apna Khalifa-e-Baatin banaya. Ye Nizam-e-Roohaniyat hai. Khilafat-e-Zahiri me sabse pehle Khalifa Sayyeduna Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Anhu hue. Magar Khilafat e Zahiri sirf 30 saalon keliye thi. Khilafat-e-Batini Qayamat tak rahegi!

  • Ye Wilayat-e-Uzma hai yaani Badi Wilayat, aur sabse pehle Wali Maula Ali Alaihissalam hue, fir Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha fir Hasnain Kareemain Alaihi-Mussalam, fir ek baad ek total 11 Imam-e-Ahle Bayt hue jo Mamba-e-Wilayat hain. Imam Hasan al Askari Alaihissalam ke baad Ye Khilafat Sarkar Gaus-e-Aazam Shaykh Abdul Qadir Jeelani RadiAllahu Anhu ke paas aayi. Ab Imam Mahdi Alaihissalam ke Zahoor tak Ye Aap faisla karte hain ke kisko Wali banana hai kisko nahi. Baaki duniya me jitne Wali hain un sabko Wilayat-e-Sugra yaani "Choti Wilayat" nasib hoti hai.*

Jab Sayyeduna Imam Muhammad Mahdi Alaihissalam Tashreef layenge to Aap bhi Wilayat-e-Uzma pe honge aur Aap pe Wilayat ka Darwaza band hojayega yaani Aapke baad koi Wali nahi ban sakega qki Aapke baad Qayamat aajayegi.


To Ye Auliya ka Roohani Nizaam 18 Zilhaj 10 Hijri se is ummat me shuru hua. Aur dekho duniya Islam sirf Auliya ke zariye faila hai! India me Islam hai wo Sarkar Gareeb Nawaz RadiAllahu Anhu ke Sadqe. Ye Youm-e-Ghadeer e Khum ka Faiz hai jo Aaj tak Ummat me jaari hai. Isliye hum shukr aur khushi manate hain ke kyunke Ye Isi Din ki Barkat hai